Dard Bhari Shayari

Yaad Karta Hoon Tumhe Yaad Aati Hi Nai
Kaise Aayae Woh Cheez Jo Jaati Hi Nahi



Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai


Judai ka pata hota agar pyaar se pehle,
To maut ki duva mangte hum deedar se pehle.


Peete hain sharaab hum jinhe bhulane ke liye
wo hi aa jaate hain yaad hamen rulane ke liye



manzilon pe aake lut-te hain dilon ke karvaan
kashtiyan saahil pe aake dobti hain pyar ki


Abkey bichdey phir shayad khuabon mein milein..
sookhey huey phool jaisey kitaabon mein milein.


Daulat E Dard ko duniya se chupa kar rakho
Aankh mein aansu nah ho aur dil mein samandar rakho



Mohabbat Ke Liye Kuch Khaas Dil Maqsoos Hote Hai
Yeh Woh Nagma Hai Jo Har Saaz Pe Bajaya Nahi Jaata



aaj teri yaad aayi to aansu nikal aye
dil aaj bhi yeh sochta hai
tum kyon na humein mil paye


Wafa ka naam na lo yaron,
Wafa dil ko dukahati hai.
Wafa ka naam lete hi,
hume ek bewafa ki yaad Aati hai


Aap Gairon ki baat karte hain,
humne Apno ko Aajmaya hai!
log Katoan se bachkar chalte hain,
humne Fooloan se Jakhm khaya hai!!


Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya,
Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya,
Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek hum thay ke inkaar karna na aaya


Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain
Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain



Ho chuki mulakaat abhi salaam baaki hai
Tumhare naam ki do ghoont sharaab baki hai
Tumko mubarak ho khushiyoon ka shamyaana
Mere naseeb me abhi do gaz zameen baki hai


Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga
Mera Har Din Teri Us Raat Se Aacha Hoga
Na Ho Yakin To Jhaak Lena Apni Doli Se
Mera Janaza Teri Baarat Se Aacha Hoga


Bahot Koshish Ki Magar Na Bhula Paaya Main Tujhko,
Yaad Tumhari Satati Rahi, Chaen Bhi Na Aaya Mujhko,
Sote Waqt Bhi Chehra Saamne Nazar Aaye,
Kya Mil-Jayega Mujhko Pyar Mera,
Bas Yahee Sochte Sochte Raat Guzar Jaye.



Pher lete hain nazar, dil se bhula dete hain
Kya yun hi log wafaon ka sila dete hain
Wada kiya tha phir bhi na aaye mazar par
Humne to jaan di thi isi aitbaar par
Kyon bhula diya humein, kyon dil se gira diya
Hum to yun hi mare huye the, aap ke inkaar par


Socha na thaa teri ulfat mey aisee thokar khaayenge
Pyar kee duniya mey saans lene sey pahle hi mar jaayenge
Ab pataa chala ke Ishq ek Khel hai koi jasbaat nahi
Aur kitney dil yaha jeete aur haarey jaayenge
Chahta tau hu magar aasaan nahi tuje bhoolna
teri yaadon ke sahare yuhi din kat tey jaayenge

No comments: